Hari Mirch Ka Achar

Copy Icon
Twitter Icon
Hari Mirch Ka Achar

Cooking Time

Preparation Time :72 Hr 0 Min

Cook Time : 15 Min

Total Time : 72 Hr 15 Min

Ingredients

Serves : 20
  • 500 gram moti hari mirch


  • 2 chammach Namak ya swad k anusar


  • 6 nibu ka ras


  • 1 bada chammach sarson ka tel


  • 2 badi chammach dardari pisi sauf


  • 1/2chammach haldi powder


  • 1/2chamach pisi rai ka powder


  • 1chammach pisi huyi methi dana powder

Directions

  • Sub se pehle mirchon ko dho kar dhup m 2-3 din sukha len.is se apka achar kharab nahi hoga
  • 3din dhup m sukhane k baad mirch ko saaf aur sukhe kapde se pochen aur uska uppar ka danthal hata den aur mirch ko beech m se chira lagayen
  • Abh ek bowl m sare masale dal kar milayen us m 1chammach sarson ka tel garam kar k dalen aur mila len.
  • Abh us masale se sari hari mirch ko bhar len.
  • Abh nibu ka ras nichor kar sari mirchon ko kanch ki barni m dal kar rakhen.
  • 1-20 din k baad Beech beech m hilate rahen taki mirch kharab na ho.
  • kanch k bartan m dalne k baad Aap ki mirch ka achar ban kar 2 din m tayar ho jaega khane k liye.