Kesariya Malpua

Copy Icon
Twitter Icon
Kesariya Malpua

Cooking Time

Preparation Time :5 Min

Cook Time : 1 Hr 0 Min

Total Time : 1 Hr 5 Min

Ingredients

Serves : 4
  • 1 litre full creme doodh


  • 1/2 tsp choti illyachi powder


  • 1 cups maida


  • 1 cups chini


  • 3 cups ghee


  • 1/2 cups halka garm doodh


  • 6 nos kesar ke dhage


  • 2 cups chini


  • 2 cups pani


  • 1 tsp gulab jal

Directions

  • Halke garm doodh me kesar ke dhago ko 30 minute ke liye bhigo de
  • Bhari tali ki kadahi me 1 litre doodh ko ubale
  • Ubal aane per gas dhimi kar de aur kesar wale doodh ko isme mila de
  • Doodh ko dhimi aanch per gadha hone tak pakaye aur bich bich me chalate rahe
  • Doodh jab gadha hokar aadha ho jaye tab gas band kar de aur doodh ko thanda hone de
  • Doodh me maida,1 cup chini aur illyachi powder milaye aur smooth better bana le
  • Chashani ke liye 2 cup chini me 2 cup pani dalkar ubale aur 1 tar ki chashni bana le
  • Gas band kare aur chashni me gulab jal milaye
  • Ek flat nonstick kadahi me ghee ko garam kare
  • Ghee garam hone per 1 bada spoon better dale aur dhimi aanch per sikne de
  • Ek taraf sik jane per dhire se palate aur dusari taraf se bhi sikne de
  • Dono taraf se golden brown hone per malpue ko nikal kar chashni me dale.isi tarah sabhi malpue bana le
  • Malpue ko thodi der chashni me dube rehne de phir plate me nikal le
  • Malpue ko garam ya thanda serve kare