Dahi Wada

Copy Icon
Twitter Icon
Dahi Wada

Description

Cooking Time

Preparation Time :15 Min

Cook Time : 10 Min

Total Time : 25 Min

Ingredients

Serves : 4
  • 200 gms urad dal dhuli hui ( bina dhuli bhi le sakate hai over night soak karake dal mai se pani ki help se chilka saaf kar sakate hai ) 50 gram moong dal dhuli hui


  • 500 gms hanged dahi


  • 70 gms sugar powder or bura ( as your taste )


  • 1 tsp roasted jeera powder


  • 1 tsp kala namak ( black salt )


  • 1 tsp lal mirch powder


  • 1 tsp chaat masala


  • 1 tsp salt as par taste


  • 1 bowls oil for deep fry

Directions

  • Urad dal n moong Dal ko over night soak kar le.dal ko chan kar dal mai se pani nikal le.
  • Dal ko mixture mai barikh grind kar le .
  • Dal ko ek bade bowl mai nikal kar use 5 - 10 minutes tak hath se fete jab tak dal halki n soft nahi ho jati hai.
  • Ek bade baratan mai lagbhag 2 liter pani le ( as par requirements ) aur kunkuna garam kar le fir usame salt dal kar achche se mila le.
  • Kadadi mai oil dalkar gas par oil garam kare jab oil garam ho jaye to midium to high flam par wade saik le .
  • Wade ko sakane ke bad garam pani jo garam kiya tha usi mai dalti jaye ( wade garam pani mai garam hi dalne hai nahi to achche se fulege nahi )garam pani ka baratan dak kar rakhe .
  • Tow hour tak bhigo kar rakhe. Ab wade ko pani se bahar nikal le n hath se halka sa daba kar pani nikal de.
  • Ab hanged dahi mai sugar powder mila kar mix kar le fir usame bade dal de aur 10 minutes tak rahane de.
  • Wade ko ek plate mai nikale kala namak , lal mirch powder, roasted jeera powder, and chaat masala dal kar surve kare.
  • Dahi Wada is reddy to eat 😛 Eat n Enjoy my recipe 👌👌