MATHURA KE PEDE

Copy Icon
Twitter Icon
MATHURA KE PEDE

Description

Traditional sweet.......... MATHURA KE PEDE.... Mein bhachpan se khaa rahi hu Diwali par meri Grand mother banati thi usake baad mother in law ko banate dekha ab mein banati hu. Mathura ke pede base to North mein Bahut Banaye jate hai lekin yah puri India mein famous hai.

Cooking Time

Preparation Time :15 Min

Cook Time : 15 Min

Total Time : 30 Min

Ingredients

Serves : 6
  • 250 gms mava or khoya


  • 50 gms bura


  • 1/2 tsp elaichi powder and thode se elaichi ke dane


  • 3 tsp cut kiye hue pista


  • 1/2 bowls milk

Directions

  • Sabhi ingredients le. Khoya ko Golden Brown colour ka bhun le.bhunane ke samay jarurat ke hisab se milk ka use karein.
  • Khoya ko thanda hone ke liye rakh de.
  • Thanda hone ke baad 3/4 bura and elaichi powder dalkar achche se mix Kar le.
  • Ab lemon ke size ki ball Bana le fir hatheli ki help se flate karein.
  • Ab use bache hue 1/4 bura mein laptop le.
  • Fir usake upar elaichi Dana and pista chipka de.
  • Is Tarah se sabhi pede Bana le aur 1/2 hour ke liye khula rakhe.
  • Ab pede ban Kar raddy hai. Pedo ko container mein bhar Kar rakh de.
  • Khoya danedar hona chahiye.
  • Mathura ke pede 15 din take stor kiye ja sakate hai