- Meal Type
- Ingredient
- Cuisine
- Seasonal
- Dish
- Drinks
Please connect to Internet to continue
Description
Cooking Time
Preparation Time : 15
Cook Time : 10
Total Time : 25
Ingredients
Serves 4
basmati rice 2 bowls
Green and yellow shimla mirch chopped 1/2 bowls
Chopped Carrot 1/2 bowls
long pieces of yellow simla mirch 1/4 bowls
green peas 1/2 bowls
kismish 15-20 nos
Elaichi 4 nos
Kaju 12-15 piece
Tej Patta 4-6 nos
Pure Ghee 4 tsp
Black Pepper 10-12 nos
Salt as per your taste 1/2 tsp
Directions
Basmati rice ko water se dho kar 20 min ke liye rakh de.
Green and yellow simla mirch, carrot, green peas ko boil karein. (boil jyada nahi karna hai) aur usko ek side rakh de. Long, elaichi, black pepper dalcheene ko dardara kar le (koot le).
Gas on karke cooker rakhe fir usame 4 spoon ghee dale jab ghee garamho jaye to tejpatta dale. Kootta hua long elaichi black pepper daale. Uske baad kaju aur kismis daale. Fir basmati chavan daal kar achese se chayale. One And half bowl paani daale. Salt daale. Aur achese chalaye. Cooker ka lid lagade ek whistle aaneke baad gas band karein aur cooker ko thanda honeke liye rakh de.
Ek kadai me one spoon ghee daalke garam karein. Boil curry hui vegetables daal kar 2-3 minutes chalaye. Cooker ko khol kar rice ko nikalkar kadai me daale. Vegetables aur rice ko mix karein. 2-3 minute gas par rakhkar chalaye. Veg pulav tayaar hai.
Veg pulav raita, chole, curry ke saat khaye aur enjoy karein. Meri iss recipe ko ek baar zaroor banaye aur kha kar enjoy karein…!!!”
Vegetables ko boil karne ke liye thande water me nahi daalkar boiled water me daalkar sirf 5 minute boil karein.
Rice cook karne ke liye water jitana rice hai usase kam hi water le.
Neelam Gupta
47 Recipes